اردو हिंदी
Dil mein bhara za-bas-ki KHayal-e-sharab tha | Shaahi Shayari
dil mein bhara za-bas-ki KHayal-e-sharab tha

Ghazal

Dil mein bhara za-bas-ki KHayal-e-sharab tha

Mir Taqi Mir

;

dil mein bhara za-bas-ki KHayal-e-sharab tha
manind aaine ke mere ghar mein aab tha

maujen kare hai bahr-e-jahan mein abhi to tu
jaanega baad-e-marg ki aalam habab tha

ugte the dast-e-bulbul-o-daman gul baham
sahn-e-chaman namuna-e-yaum-ul-hisab tha

Tuk dekh aankhen khol ke us dam ki hasraten
jis dam ye sujhegi ki ye aalam bhi KHwab tha

dil jo na tha to raat za-KHud-raftagi mein 'mir'
gah intizar o gah mujhe iztirab tha