اردو हिंदी
Pusht-e-pa mari bas-ki duniya par | Shaahi Shayari
pusht-e-pa mari bas-ki duniya par

Ghazal

Pusht-e-pa mari bas-ki duniya par

Mir Taqi Mir

;

pusht-e-pa mari bas-ki duniya par
zaKHm paD paD gaya mere pa par

Dube uchhle hai aaftab hanuz
kahin dekha tha tujh ko dariya par

giro mai hun aao shaiKH shahr
abr jhuma hi jahe sahra par

dil par KHun to tha gulabi sharab
ji hi apna chala na sahba par

yan jahan mein ki shahr-e-goran hai
sat parde hain chashm-e-bina par

fursat-e-aish apni yun guzri
ki musibat paDi tamanna par

tarum-e-tak se lahu Tapka
sang-baran hua hai mina par

'mir' kya baat us ke honTon ki
jina dubhar hua masiha par