اردو हिंदी
Shab-e-dard-o-gham se arsa mere ji pe tang tha | Shaahi Shayari
shab-e-dard-o-gham se arsa mere ji pe tang tha

Ghazal

Shab-e-dard-o-gham se arsa mere ji pe tang tha

Mir Taqi Mir

;

shab-e-dard-o-gham se arsa mere ji pe tang tha
aaya shab-e-firaq thi ya roz-e-jang tha

kasrat mein dard-o-gham ki na nikli koi tapish
kucha jigar ke zaKHm ka shayad ki tang tha

laya mere mazar pe us ko ye jazb-e-ishq
jis bewafa ko nam se bhi mere nang tha

dekha hai said-ga mein tere said ka jigar
ba-anki chhin raha tha pe zauq-e-KHadang tha

dil se mere laga na tera dil hazar haif
ye shisha ek umr se mushtaq sang tha

mat kar ajab jo 'mir' tere gham mein mar gaya
jine ka is mariz ke koi bhi Dhang tha