kya kahen apni us ki shab ki baat
kahiye howe jo kuchh bhi Dhab ki baat
ab to chup lag gai hai hairat se
phir khulegi zaban jab ki baat
nukta-danan-e-rafta ki na kaho
baat wo hai jo howe ab ki baat
kis ka ru-e-suKHan nahin hai udhar
hai nazar mein hamari sab ki baat
zulm hai qahr hai qayamat hai
ghusse mein us ke zer-e-lab ki baat
kahte hain aage tha buton mein rahm
hai KHuda jaaniye ye kab ki baat
go ki aatish-zaban the aage 'mir'
ab ki kahiye gai wo tab ki baat
Ghazal
Kya kahen apni uski shab ki baat
Mir Taqi Mir