yar ajab tarah nigah kar gaya 
dekhna wo dil mein jagah kar gaya 
tang qabai ka saman yar ki 
pairahan ghuncha ko tah kar gaya 
jaana hai us bazm se aaya to kya 
koi ghaDi go ki tu rah kar gaya 
wasf KHat-o-KHal mein KHuban ke 'mir' 
nama-e-amal siyah kar gaya
        Ghazal
Yar ajab tarah nigah kar gaya
Mir Taqi Mir

