raat pyasa tha mere lohu ka
hun diwana tere sag ko ka
shola-e-ah jun-tun ab mujh ko
fikr hai apne har bin mu ka
hai mere yar ki mison ka rashk
kushta hun sabza-e-lab-e-ju ka
bosa dena mujhe na kar mauquf
hai wazifa yahi dua-go ka
main ne talwar se hiran mare
ishq kar teri chashm-o-abru ka
shor qulqul ke hoti thi mane
rish-e-qazi pe raat main thuka
itr-agin hai baad-e-subh magar
khul gaya pech-e-zulf KHushbu ka
ek do hun to sahar-e-chashm kahun
karKHana hai wan to jadu ka
'mir' har-chand main ne chaha lek
na chhupa ishq-e-tifl bad-KHu ka
nam us ka liya idhar-udhar
uD gaya rang hi mere ru ka
Ghazal
Raat pyasa tha mere lohu ka
Mir Taqi Mir