اردو हिंदी
Naqsh baiThe hai kahan KHwahish-e-azadi ka | Shaahi Shayari
naqsh baiThe hai kahan KHwahish-e-azadi ka

Ghazal

Naqsh baiThe hai kahan KHwahish-e-azadi ka

Mir Taqi Mir

;

naqsh baiThe hai kahan KHwahish-e-azadi ka
nang hai nam rihai teri sayyaadi ka

dad de warna abhi jaan pe khelun hun main
dil jalana nahin dekha kisi fariyaadi ka

tu ne talwar rakhi sar rakha mein banda hun
apni taslim ka bhi aur teri jalladi ka

shahr ki si rahi raunaq usi ke jite-ji
mar gaya qais jo tha KHana KHuda wadi ka

shaiKH kya suraten rahti thin bhala jab tha dair
ru-ba-virani ho is kabe ki aabaadi ka

reKHta rutbe ko pahunchaya hua us ka hai
mo'taqid kaun nahin 'mir' ki ustadi ka