اردو हिंदी
Qabu KHizan se zoaf ka gulshan main ban gaya | Shaahi Shayari
qabu KHizan se zoaf ka gulshan main ban gaya

Ghazal

Qabu KHizan se zoaf ka gulshan main ban gaya

Mir Taqi Mir

;

qabu KHizan se zoaf ka gulshan main ban gaya
dosh-e-hawa pe rang-e-gul-o-yasaman gaya

bargashta-baKHt dekh ki qasid safar se main
bheja tha us ke pas so mere watan gaya

KHatir-nishan ai said-fagan hogi kab teri
tiron ke mare mera kaleja to chhan gaya

yaadash-ba-KHair dasht mein manind-e-ankabut
daman ke apne tar jo KHaron pe tan gaya

mara tha kis libas mein uryani ne mujhe
jis se tah-e-zamin bhi main be-kafan gaya

aai agar bahaar to ab hum ko kya saba
hum se to aashiyan bhi gaya aur chaman gaya

sarsabz mulk-e-hind mein aisa hua ki 'mir'
ye reKHta likha hua tera dakan gaya