kya din the we ki yan bhi dil aarmida tha 
ru-ashiyan tair-e-rang-parida tha 
qasid jo wan se aaya to sharminda main hua 
bechaara girya-nak gareban darida tha 
ek waqt hum ko tha sar-e-girya ki dasht mein 
jo KHar KHushk tha sau wo tufan rasida tha 
jis said-gah-e-ishq mein yaron ka ji gaya 
marg us shikar-gah ka shikar ramida tha 
kori chashm kyun na ziyarat ko us ki aae 
yusuf sa jis ko madd-e-nazar nur-dida tha 
afsos marg sabr hai is waste ki wo 
gul-ha-e-bagh ishrat-e-duniya nachida tha 
mat puchh kis tarah se kaTi raat hijr ki 
har nala meri jaan ko tegh kashida tha 
hasil na puchh gulshan-e-mashhad ka bul-hawas 
yan phal har ek daraKHt ka halq-e-burida tha 
dil-e-be-qarar girya-e-KHunin tha raat 'mir' 
aaya nazar to bismil dar-e-KHun tapida tha
        Ghazal
Kya din the we ki yan bhi dil aarmida tha
Mir Taqi Mir

