اردو हिंदी
Juda jo pahlu se wo dilbar yagana hua | Shaahi Shayari
juda jo pahlu se wo dilbar yagana hua

Ghazal

Juda jo pahlu se wo dilbar yagana hua

Mir Taqi Mir

;

juda jo pahlu se wo dilbar yagana hua
tapish ki yan tain dil ne ki dard shana hua

jahan ko fitne se KHali kabhu nahin paya
hamare waqt mein to aafat zamana hua

KHalish nahin kaso KHwahish ki raat se shayad
sarishk-e-yas ke parde mein dil rawana hua

hum apne dil ki chale dil hi mein liye yan se
hazar haif sar-e-harf us se wa na hua

khula nashe mein jo pagDi ka pech us ki 'mir'
samand-e-naz pe ek aur taziyana hua