اردو हिंदी
Daman-e-koh mein jo mein DaDh mar roya | Shaahi Shayari
daman-e-koh mein jo mein DaDh mar roya

Ghazal

Daman-e-koh mein jo mein DaDh mar roya

Mir Taqi Mir

;

daman-e-koh mein jo mein DaDh mar roya
ek abr wan se uTh kar be-iKHtiyar roya

paDta na tha bharosa ahd-e-wafa-e-gul par
murgh-e-chaman na samjha main to hazar roya

har gul zamin yan ki rone hi ki jagah thi
manind-e-abr har ja main zar zar roya

thi maslahat ki ruk kar hijran mein jaan dije
dil khol kar na gham mein main ek bar roya

ek ijz ishq is ka asbab-e-sad-alam tha
kal 'mir' se bahut main ho kar do-chaar roya