اردو हिंदी
Chori mein dil ki wo hunar kar gaya | Shaahi Shayari
chori mein dil ki wo hunar kar gaya

Ghazal

Chori mein dil ki wo hunar kar gaya

Mir Taqi Mir

;

chori mein dil ki wo hunar kar gaya
dekhte hi aankhon mein ghar kar gaya

dahr mein main KHak-basar hi raha
umr ko is taur basar kar gaya

dil nahin hai manzil-e-sina mein ab
yan se wo bechaara safar kar gaya

haif jo wo nusKHa-e-dil ke upar
sarsari si ek nazar kar gaya

kis ko mere haal se thi aagahi
nala-e-shab sab ko KHabar kar gaya

go na chala ta-mizha-e-tir-e-nigah
apne jigar se tu guzar kar gaya

majlis-e-afaq mein parwana san
'mir' bhi sham apni sahar kar gaya