pal mein jahan ko dekhte mere Dubo chuka
ek waqt mein ye dida bhi tufan ro chuka
afsos mere murde par itna na kar ki ab
pachhtana yun hi sa hai jo hona tha ho chuka
lagti nahin palak se palak intizar mein
aankhen agar yahi hain to bhar nind so chuka
yak chashmak-e-pyala hai saqi bahaar-e-umr
jhapki lagi ki dur ye aaKHir hi ho chuka
mumkin nahin ki gul kare waisi shaguftagi
us sarzamin mein tuKHm-e-mohabbat main bo chuka
paya na dil bahaya hua sail-e-ashk ka
main panja-e-mizha se samundar bilo chuka
har subh hadse se ye kahta hai aasman
de jam-e-KHun 'mir' ko gar munh wo dho chuka
Ghazal
Pal mein jahan ko dekhte mere Dubo chuka
Mir Taqi Mir