kab talak ye sitam uThaiyega 
ek din yunhi ji se jaiyega 
shakl taswir-e-be-KHudi kab tak 
kaso din aap mein bhi aaiyega 
sab se mil chal ki hadse se phir 
kahin DhunDa bhi to na paiyega 
na mue hum asiri mein to nasim 
koi din aur baw khaiyega 
kahiyega us se qissa-e-majnun 
yani parde mein gham sunaiyega 
us ke pa-bos ki tawaqqoa par 
apne tin KHak mein milaiyega 
us ke panw ko ja lagi hai hina 
KHub se hath use lagaiyega 
shirkat-e-shaiKH-o-barahman se 'mir' 
kaba-o-dair se bhi jaiyega 
apni DeDh inT ki jaddi masjid 
kisi virane mein banaiyega
        Ghazal
Kab talak ye sitam uThaiyega
Mir Taqi Mir

