paigham gham-e-jigar ka gulzar tak na pahuncha
nala mera chaman ki diwar tak na pahuncha
us aaine ke manind zangar jis ko khawe
kaam apna us ke gham mein didar tak na pahuncha
jon naqsh-e-pa hai ghurbat hairan-kar us ki
aawara ho watan se jo yar tak na pahuncha
labrez shikwa the hum lekin huzur tere
kar-e-shikayat apna guftar tak na pahuncha
le chashm-e-nam-rasidd pani chuwane koi
waqt-e-aKHir us ke bimar tak na pahuncha
ye baKHte--sabz dekho bagh-e-zamana mein se
pazhmurda gul bhi apni dastar tak na pahuncha
masturi KHub-rui donon na jama howen
KHubi ka kaam kis ki izhaar tak na pahuncha
yusuf se le ke ta-gul phir gul se le ke ta-shamma
ye husn kis ko le kar bazar tak na pahuncha
afsos 'mir' we jo hone shahid aae
phir kaam un ka us ki talwar tak na pahuncha
Ghazal
Paigham gham-e-jigar ka gulzar tak na pahuncha
Mir Taqi Mir