main bhi duniya mein hun ek nala-pareshan yak ja
dil ke sau TukDe mere par sabhi nalan yak ja
pand-goyon ne bahut sine ki tadbiren lin
aah sabit bhi na nikla ye gareban yak ja
tera kucha hai sitamgar wo kafir jagah
ki jahan mare gae kitne musalman yak ja
sar se bandha hai kafan ishq mein tere yani
jama hum ne bhi kiya hai sar-o-saman yak ja
kyunke paDte hain tere panw nasim-e-sahari
us ke kuche mein hai sad ganj-e-shahidan yak ja
tu bhi rone ko mila dil hai hamara bhi bhara
hoje ai abr bayaban mein giryan yak ja
baiTh kar 'mir' jahan KHub na roya howe
aisi kuche mein nahin hai tere jaanan yak ja
Ghazal
Main bhi duniya mein hun ek nala-pareshan yak ja
Mir Taqi Mir