sahr-e-gah-e-id mein daur-e-subu tha 
par apne jam mein tujh bin lahu tha 
ghalat tha aap se ghafil guzarna 
na samjhe hum ki is qalib mein tu tha 
chaman ki waza ne hum ko kya dagh 
ki har ghuncha-dil par aarzu tha 
gulo-aina kya KHurshid-o-mah kya 
jidhar dekha tidhar tera hi ru tha 
karoge yaad baaten to kahoge 
ki koi rafta-e-bisyar-go tha 
jahan par hai fasane se hamare 
dimagh-e-ishq hum ko bhi kabhu tha 
magar diwana tha gul bhi kaso ka 
ki pairahan mein so jaga rafu tha 
kahin kya baal tere khul gae the 
ki jhonka baw ka kuchh mushkbu tha 
na dekha 'mir' aawara ko lekin 
ghubar ek na-tawan sa ku-ba-ku tha
        Ghazal
Sahr-e-gah-e-id mein daur-e-subu tha
Mir Taqi Mir

