samjhe the 'mir' hum ki ye nasur kam hua 
phir un dinon main dida-e-KHun-bar nam hua 
aae ba-rang-e-abr araq-nak tum udhar 
hairan hun ki aaj kidhar ko karam hua 
tujh bin sharab pi ke mue sab tere KHarab 
saqi baghair tere unhen jam-e-sam hua 
kafir hamare dil ki na puchh apne ishq mein 
bait-ul-haram tha so wo bait-us-sanam hua 
KHana-KHarab kis ka kiya teri chashm ne 
tha kaun yun jise tu nasib ek dam hua 
talwar kis ke KHun mein sar Dub hai teri 
ye kis ajal-rsida ke ghar par sitam hua 
aai nazar jo gor sulaiman ki ek rose 
kuche par us mazar ke tha ye raqam hua 
ka-e-sar-kashan jahan mein khincha tha mein bhi sar 
payan-e-kar mor ki KHak-e-qadam hua 
afsos ki bhi chashm thi un se KHilaf-e-aql 
bar-e-ilaqa se to abas pusht-e-KHam hua 
ahl-e-jahan hain sare tere jite-ji talak 
puchhenge bhi na baat jahan to adam hua 
kya kya aziz dost mile 'mir' KHak mein 
nadan yan kaso ka kaso ko bhi gham hua
        Ghazal
Samjhe the mir hum ki ye nasur kam hua
Mir Taqi Mir

