raat se aansu meri aankhon mein phir aane laga 
yak ramaq ji tha badan mein so bhi ghabrane laga 
wo laDakpan se nikal kar tegh chamkane laga 
KHun karne ka KHayal ab kuchh use aane laga 
lal-e-jaan-baKHsh us ke the poshida jun aab-e-hayat 
ab to koi koi in honThon pe mar jaane laga 
haif main us ke suKHan par Tuk na rakkha gosh ko 
yun to naseh ne kaha tha dil na diwane laga 
habs-e-dam ke mo'taqid tum hoge shaiKH-e-shahr ke 
ye to albatta ki sun kar lan dam khane laga 
garm milna us gul-e-nazuk-tabiat se na ho 
chandni mein raat baiTha tha sau murjhane laga 
aashiqon ki paemali mein use israr hai 
yani wo mahshar-KHiram ab panw phailane laga 
chashmak us mah ki si dilkash did mein aai nahin 
go sitara subah ka bhi aankh jhapkane laga 
kyunkar us aaina-ru se 'mir' maliye be-hijab 
wo to apne aks se bhi dekho sharmane laga
        Ghazal
Raat se aansu meri aankhon mein phir aane laga
Mir Taqi Mir

