KHat se wo zor safa-e-husn ab kam ho gaya
chah-e-yusuf tha zaqan so chah-e-rustam ho gaya
sina-kobi-e-sang se dil-e-KHun hone mein rahi
haq-ba-jaanib tha hamare saKHt matam ho gaya
ek sa aalam nahin rahta hai us aalam ke beach
ab jahan koi nahin yan ek aalam ho gaya
aankh ke laDte teri aashob sa barpa hua
zulf ke dirham hue ek jama barham ho gaya
us lab-e-jaan-baKHsh ki hasrat ne mara jaan se
aab-e-haiwan yaman-e-talea se mere sam ho gaya
waqt tab tak tha to sajda masjidon mein kufr tha
faeda ab jab ki qad mehrab sa KHam ho gaya
ishq un shahri ghazalon ka junun ko ab khincha
wahshat-e-dil baDh gai aaram-e-jaan ram ho gaya
ji khinche jate hain fart-e-shauq se aankhon ki aur
jin ne dekha ek-dam us ko so be-dam ho gaya
hum ne jo kuchh us se dekha so KHilaf-e-chashm-e-dasht
apna izrail wo jaan mujassam ho gaya
kya kahun kya tarhen badlen chah ne aaKHir ko 'mir'
tha girah jo dard chhati mein so ab gham ho gaya
Ghazal
KHat se wo zor safa-e-husn ab kam ho gaya
Mir Taqi Mir