karte hi nahin tark-e-butan taur-e-jafa ka 
shayad hamin dikhlawenge didar KHuda ka 
hai abr ki chadar shafaqi josh se gul ke 
maiKHane ke han dekhiye ye rang hawa ka 
bahuteri giro jins-kulalon ke paDi hai 
kya zikr hai waiz ke musalla-o-rida ka 
mar jaega baaton mein koi gham-zada yun hi 
har lahza na ho mumtahin arbab-e-wafa ka 
tadbir thi taskin ke liye logon ki warna 
malum tha muddat se hamein nafa dawa ka 
hath aaina-ruyon se uTha baiThen na kyunkar 
bil-aks asar pate the hum apni dua ka 
aankh us ki nahin aaine ke samne hoti 
hairat-zada hun yar ki main sharm-o-haya ka 
barson se tu yun hai ki ghaTa jab umanD aai 
tab dida-e-tar se bhi hua ek jhaDaka 
aankh us se nahin uThne ki sahab nazron ki 
jis KHak pe hoga asar us ki kaf-e-pa ka 
talwar ke sae hi mein kaTe hai to ai 'mir' 
kis dil-zada ko hue hai ye zauq fana ka
        Ghazal
Karte hi nahin tark-e-butan taur-e-jafa ka
Mir Taqi Mir

