sitam se go ye tere kushta-e-wafa na raha
rahe jahan mein to dair mein raha na raha
kab us ka nam liye ghash na aa gaya mujh ko
dil-e-sitam-zada kis waqt us mein ja na raha
milana aankh ka har-dam fareb tha dekha
phir ek dam mein wo be-did aashna na raha
mue to hum pe dil par ko KHub KHali kar
hazar shukr kaso se hamein gila na raha
udhar khuli meri chhati idhar namak chhiDka
jarahat us ko dikhane ka ab maza na raha
hua hun tang bahut koi din mein sin lijo
ki ji se hath uTha kar wo uTh gaya na raha
sitam ka us ke bahut main nazar hun mamnun
jigar tamam hua KHun-o-dil baja na raha
agarche rah gae the ustuKHwan-o-post wale
lagai aisi ki tasma bhi phir laga na raha
hamiyat us ke tain kahte hain jo 'mir' mein thi
gaya jahan se pe teri gali main aa na raha
Ghazal
Sitam se go ye tere kushta-e-wafa na raha
Mir Taqi Mir