raftar-o-taur-o-tarz-o-rawish ka ye Dhab hai kya
pahle suluk aise hi tere the ab hai kya
hum dil-zada na rakhte the tum se ye chashm-dasht
karte ho qahr lutf ki jaga ghazab hai kya
izzat bhi baad zillat bisyar chheD hai
majlis mein jab KHafif kiya phir adab hai kya
aae hum aap mein to na pahchane phir gae
us rah-e-sab ishq mein yaro tab hai kya
hairan hain us dahan ke azizan-e-KHurda-bin
ye bhi maqam hae tammul talab hai kya
aankhen jo howen teri to tu ain kar rakhe
aalam tamam gar wo nahin to ye sab hai kya
us aaftab bin nahin kuchh sujhta hamein
gar ye hi apne din hain to tarik shab hai kya
tum ne hamesha jaur-o-sitam be-sabab kiye
apna hi zarf tha jo na puchha sabab hai kya
kyunkar tumhaari baat kare koi eatibar
zahir mein kya kaho ho suKHan zer-e-lab hai kya
us mah baghair 'mir' ka marna ajab hua
har-chand marg-e-ashiq miskin ajab hai kya
Ghazal
Raftar-o-taur-o-tarz-o-rawish ka ye Dhab hai kya
Mir Taqi Mir