pae KHitab kya kya dekhe itab kya kya
dil ko laga ke hum ne khinche azab kya kya
kaTe hain KHak uDa kar jon gard-baad barson
galiyon mein hum hue hain us bin KHarab kya kya
kuchh gul se hain shagufta kuchh sarw se hain qad-kash
us ke KHayal mein hum dekhe hain KHwab kya kya
aanwa-e-jurm mere phir be-shumar-o-be-had
roz-e-hisab lenge mujh se hisab kya kya
ek aag lag rahi hai sinon mein kuchh na puchho
jal jal ke hum hue hain us bin kabab kya kya
ifraat-e-shauq mein to ruyat rahi na mutlaq
kahte hain mere munh par ab shaiKH-o-shab kya kya
phir phir gaya hai aa kar munh tak jigar hamare
guzre hain jaan-o-dil par yan iztirab kya kya
aashufta us ke gesu jab se hue hain munh par
tab se hamare dil ko hai pech-o-tab kya kya
kuchh sujhta nahin hai masti mein 'mir'-ji ko
karte hain poch-goi pi kar sharab kya kya
Ghazal
Pae KHitab kya kya dekhe itab kya kya
Mir Taqi Mir