اردو हिंदी
Kya kya baiThe bigaD bigaD tum par hum tum se banae gae | Shaahi Shayari
kya kya baiThe bigaD bigaD tum par hum tum se banae gae

Ghazal

Kya kya baiThe bigaD bigaD tum par hum tum se banae gae

Mir Taqi Mir

;

kya kya baiThe bigaD bigaD tum par hum tum se banae gae
chupke baaten uThae gae sar gaDe wo hain aae gae

uTThe naqab jahan se yarab jis se takalluf beach mein hai
jab nikle us rah se ho kar munh tum hum se chhupae gae

kab kab tum ne sach nahin manin jhuTi baaten ghairon ki
tum hum ko yun hi jalae gae we tum ko wo hain lagae gae

subh wo aafat uTh baiTha tha tum ne na dekha sad afsos
kya kya fitne sar joDe palkon ke sae sae gae

allah re ye dida-darai hun na mukaddar kyunke hum
aankhen hum se milae gae phir KHak mein hum ko milae gae

aag mein gham ki ho ke gudazan jism hua sab pani sa
yani bin in shola-ruKHon ke KHub hi hum bhi tae gae

TukDe TukDe karne ki bhi had ek aaKHir hoti hai
kushte us ki tegh-e-sitam ke gor tain kab lae gae

KHizr jo mil jata hai gahe aap ko bhula KHub nahin
khoe gae us rah ke warna kahe ko phir pae gae

marne se kya 'mir'-ji-sahab hum ko hosh the kya kariye
ji se hath uThae gae par us se dil na uThae gae