اردو हिंदी
Naz-e-chaman wahi hai bulbul se go KHizan hai | Shaahi Shayari
naz-e-chaman wahi hai bulbul se go KHizan hai

Ghazal

Naz-e-chaman wahi hai bulbul se go KHizan hai

Mir Taqi Mir

;

naz-e-chaman wahi hai bulbul se go KHizan hai
Tahni jo zard bhi hai so shaKH-e-zafaran hai

gar is chaman mein wo bhi ek hi lab-o-dahan hai
lekin suKHan ka tujh se ghunche ko munh kahan hai

hangam-e-jalwa us ke mushkil hai Thahre rahna
chitwan hai dil ki aafat-e-chashmak bala-e-jaan hai

patthar se toDne ke qabil hai aarsi tu
par kya karen ki pyare munh tera darmiyan hai

bagh-o-bahaar hai wo main kisht-e-zafran hun
jo lutf ek idhar hai to yan bhi ek saman hai

har-chand zabt kariye chhupta hai ishq koi
guzre hai dil pe jo kuchh chehre hi se ayan hai

is fan mein koi be-tah kya ho mera muariz
awwal to main sanad hun phir ye meri zaban hai

aalam mein aab-o-gil ka Thahraw kis tarah ho
gar KHak hai aDe hai war aab hai rawan hai

charcha rahega us ka ta-hashr mai-kashan mein
KHun-rezi ki hamari rangin dastan hai

az-KHwesh rafta us bin rahta hai 'mir' aksar
rahte ho baat kis se wo aap mein kahan hai