اردو हिंदी
Phir us se tarah kuchh jo dawe ki si Dali hai | Shaahi Shayari
phir us se tarah kuchh jo dawe ki si Dali hai

Ghazal

Phir us se tarah kuchh jo dawe ki si Dali hai

Mir Taqi Mir

;

phir us se tarah kuchh jo dawe ki si Dali hai
kya taza koi gul ne ab shaKH nikali hai

sach puchho to kab haiga us ka sa dahan ghuncha
taskin ke liye hum ne ek baat bana li hai

dehi ko na kuchh puchho ek bharat ka hai gaDwa
tarkib se kya kahiye sanche mein ki Dhaali hai

hum qadd-KHamida se aaghosh hue sare
par faeda tujh se to aaghosh wo KHali hai

izzat ki koi surat dikhlai nahin deti
chup rahiye to chashmak hai kuchh kahiye to gali hai

do-gam ke chalne mein pamal hua aalam
kuchh sari KHudai se wo chaal nirali hai

haigi to do sala par hai duKHtar-e-raz aafat
kya pir-e-mughan ne bhi ek chhokri pali hai

KHun-rezi mein hum son ki jo KHak barabar hain
kab sar to faro laya himmat teri aali hai

jab sar chaDhe hon aise tab ishq karen so bhi
jun tun ye bala sar se farhad ne Tali hai

in mughbachon mein zahid phir sar zada mat aana
mindil teri ab ke hum ne to bacha li hai

kya 'mir' tu rota hai pamali-e-dil hi ko
un lounDon ne to dilli sab sar pe uTha li hai