nala-e-ijz nuqs-e-ulfat hai
anj-o-mehnat kamal rahat hai
ishq hi girya-e-nadamat hai
warna aashiq ko chashm-e-KHiffat hai
ta dam-e-marg gham KHushi ka nahin
dil-e-azurda gar salamat hai
dil mein nasur phir jidhar chahe
har taraf kucha-e-jarrahat hai
rona aata hai dam-ba-dam shayad
kaso hasrat ki dil se ruKHsat hai
fitne rahte hain us ke sae mein
qad-o-qamat tera qayamat hai
na tujhe rahm ne use Tak sabr
dil pe mere ajab musibat hai
tu to nadan hai nipaT naseh
kab moassir teri nasihat hai
dil pe jab mere aa ke ye Thahra
ki mujhe KHush-dili aziyyat hai
ranj-o-mehnat se baz kyunke rahun
waqt jata rahe to hasrat hai
kya hai phir koi dam ko kya jaano
dam ghanimat miyan jo fursat hai
tera shikwa mujhe na mera tujhe
chahiye yun jo fil-haqiqat hai
tujh ko masjid hai mujh ko mai-KHana
waiza apni apni qismat hai
aise hansmukh ko shama se tashbih
shama-e-majlis ki roni surat hai
baatil-us-sahr dekh baatil the
teri aankhon ka sahar aafat hai
abr-e-tar ke huzur phuT baha
dida-e-tar ko mere rahmat hai
gah nalan tapan gahe be-dam
dil ki mere ajab hi haalat hai
kya hua gar ghazal qasida hui
aaqibat qissa-e-mohabbat hai
turbat-e-'mir' par hain ahl-e-suKHan
har taraf harf hai hikayat hai
tu bhi taqrib-e-fatiha se chal
ba-KHuda wajibuzziyaraat hai
Ghazal
Nala-e-ijz nuqs-e-ulfat hai
Mir Taqi Mir