mujh soz baad-e-marg se aagah kaun hai 
sham-e-mazar mir ba-juz aah kaun hai 
bekas hun muztarib hun musafir hun be-watan 
duri-e-rah ban mere hamrah kaun hai 
labrez jis ke husn se masjid hai aur dair 
aisa buton ke beach wo allah kaun hai 
rakhiyo qadam sambhal ke ki tu jaanta nahin 
manind-e-naqsh-e-pa ye sar-e-rah kaun hai 
aisa asir KHasta-jigar main suna nahin 
har aah 'mir' jis ki hai jaan-kah kaun hai
        Ghazal
Mujh soz baad-e-marg se aagah kaun hai
Mir Taqi Mir

