اردو हिंदी
Ramaq ek jaan-e-wabaal hai koi dam jo hai to azab hai | Shaahi Shayari
ramaq ek jaan-e-wabaal hai koi dam jo hai to azab hai

Ghazal

Ramaq ek jaan-e-wabaal hai koi dam jo hai to azab hai

Mir Taqi Mir

;

ramaq ek jaan-e-wabaal hai koi dam jo hai to azab hai
dil-e-dagh gashta kabab hai jigar gudaKHta aab hai

meri KHalq mahw-e-kalam sab mujhe chhoDte hain KHamosh kab
mera harf rashk-e-kitab hai mari baat likhne ka bab hai

jo wo likhta kuchh bhi to nama-bar koi rahti munh mein tere nihan
teri KHamushi se ye nikle hai ki jawab KHat ka jawab hai

rahe haal dil ka jo ek sa to rujua karte kahin bhala
so tu ye kabhu hama dagh hai kabhu nim-soz kabab hai

kahenge kaho tumhein log kya yahi aarsi yahi tum sada
na kaso ki tum ko hai Tak haya na hamare munh se hijab hai

chalo mai-kade mein basar karen ki rahi hai kuchh barakat wahin
lab-e-na-towan ka kabab hai dam-e-abwan ka sharab hai

nahin khultin aankhen tumhaari Tak ki maal par bhi nazar karo
ye jo wahm ki si numud hai use KHub dekho to KHwab hai

gae waqt aate hain hath kab hue hain ganwa ke KHarab sab
tujhe karna howe so kar tu ab ki ye umr barq-e-shattab hai

kabhu lutf se na suKHan kya kabhu baat kah na laga liya
yahi lahza lahza KHitab hai wahi lamha lamha itab hai

tu jahan ke bahr-e-amiq mein sar par hua na buland kar
ki ye panj-roza jo bud hai kaso mauj-e-pur ka habab hai

rakho aarzu mai-e-KHam ki karo guftugu KHat-e-jam ki
ki siyah caron se hashr mein na hisab hai na kitab hai

mera shor san ke jo logon ne kya puchhna tu kahe hai kya
jise 'mir' kahte hain sahibo ye wahi to KHana-KHarab hai