kahan tak ghair jasusi ke lene ko laga aawe 
ilahi is bala-e-na-gahan par bhi bala aawe 
ruka jata hai ji andar hi andar aaj garmi se 
bala se chaak hi ho jawe sina Tuk hawa aawe 
tera aana hi ab markuz hai hum ko dam-e-aKHir 
ye ji sadqe kiya tha phir na aawe tan mein ya aawe 
ye rasm-e-amad-o-raft-e-dayar-e-ishq taza hai 
hansi wo jae meri aur rona yun chala aawe 
asiri ne chaman se meri dil-garmi ko dho Dala 
wagarna barq ja kar aashiyan mera jala aawe 
umid-e-rahm un se saKHt na-fahmi hai aashiq ki 
ye but sangin-dili apni na chhoDen gar KHuda aawe 
ye fann-e-ishq hai aawe use tinat mein jis ki ho 
tu zahid-e-pir-e-na-baaligh hai be tah tujh ko kya aawe 
hamare dil mein aane se takalluf gham ko beja hai 
ye daulat-KHana hai us ka wo jab chahe chala aawe 
ba-rang-e-bu-e-ghuncha umr ek hi rang mein guzre 
mayassar 'mir'-sahib gar dil be-muddaa aawe
        Ghazal
Kahan tak ghair jasusi ke lene ko laga aawe
Mir Taqi Mir

