taDapna bhi dekha na bismil ka apne
main kushta hun andaz-e-qatil ka apne
na puchho ki ahwal na-gufta-bah hai
musibat ke mare hue dil ka apne
dil-e-zaKHm-KHurda ke aur ek lagai
mudawa kya KHub ghayal ka apne
jo KHosha tha sad KHirman-e-barq tha yan
jalaya hua hun main hasil ka apne
Tak abru ko meri taraf kije mail
kabhu dil bhi rakh lije mail ka apne
hua daftar-e-qais aaKHir abhi yan
suKHan hai junun ke awael ka apne
banaen rakhen main ne aalam mein kya kya
hun banda KHayalat baatil ka apne
maqam-e-fana waqiye mein jo dekha
asar bhi na tha gor manzil ka apne
Ghazal
TaDapna bhi dekha na bismil ka apne
Mir Taqi Mir