اردو हिंदी
Ab mir-ji to achchhe zindiq hi ban baiThe | Shaahi Shayari
ab mir-ji to achchhe zindiq hi ban baiThe

Ghazal

Ab mir-ji to achchhe zindiq hi ban baiThe

Mir Taqi Mir

;

ab 'mir'-ji to achchhe zindiq hi ban baiThe
peshani pe de qashqa zunnar pahan baiThe

aazurda dil-e-ulfat hum chupke hi behtar hain
sab ro uThegi majlis jo kar ke suKHan baiThe

uryan phiren kab tak ai kash kahin aa kar
ta gard bayaban ki baala-e-badan baiThe

paikan-e-KHadang us ka yun sine ke udhar hai
jon mar-e-siyah koi kaDhe hue phan baiThe

juz KHat ke KHayal us ke kuchh kaam nahin hum ko
sabzi piye hum aksar rahte hain magan baiThe

shamshir-e-sitam us ki ab go ka chale har-dam
shorida-sar apne se hum bandh kafan baiThe

bas ho to idhar-udhar yun phirne na den tujh ko
na-chaar tere hum ye dekhen hain chalan baiThe