اردو हिंदी
Kare kya ki dil bhi to majbur hai | Shaahi Shayari
kare kya ki dil bhi to majbur hai

Ghazal

Kare kya ki dil bhi to majbur hai

Mir Taqi Mir

;

kare kya ki dil bhi to majbur hai
zamin saKHt hai aasman dur hai

jaras-e-rah mein jumla-tan shor hai
magar qafile se koi dur hai

tamanna-e-dal ke liye jaan di
saliqa hamara to mashhur hai

na ho kis tarah fikr anjam kar
bharosa hai jis par so maghrur hai

palak ki syahi mein hai wo nigah
kaso ka magar KHun manzur hai

dil apna nihayat hai nazuk-mizaj
gira gar ye shisha to phir chur hai

kahin jo tasalli hua ho ye dil
wahi be-qarari ba-dastur hai

na dekha ki lohu thanba ho kabhu
magar chashm-e-KHun-bar nasur hai

tanik garm tu sang-reze ko dekh
nihan us mein bhi shola-e-tur hai

bahut sai kariye to mar rahiye 'mir'
bas apna to itna hi maqdur hai