piri mein kya jawani ke mausam ko roiye
ab subh hone aai hai ek dam to soiye
ruKHsar us ke hae re jab dekhte hain hum
aata hai ji mein aankhon ko un mein gaDoiye
iKHlas dil se chahiye sajda namaz mein
be-faeda hai warna jo yun waqt khoiye
kis taur aansuon mein nahate hain gham-kashan
is aab-e-garm mein to na ungli Duboiye
matlab ko to pahunchte nahin andhe ke se taur
hum marte phire hain u nahin Tappe Toiye
ab jaan jism-e-KHaki se tang aa gai bahut
kab tak is ek Tokari miTTi ko Dhoiye
aaluda us gali ki jo hun KHak se to 'mir'
aab-e-hayat se bhi na we panw dhoiye
Ghazal
Piri mein kya jawani ke mausam ko roiye
Mir Taqi Mir