rahe KHayal tanik hum bhi ru-siyahon ka
lage ho KHun bahut karne be-gunahon ka
nahin sitare ye suraKH paD gae hain tamam
falak harif hua tha hamari aahon ka
gali mein us ki phaTe kapDon par mere mat ja
libas-e-faqr hai wan faKHr baadshahon ka
tamam zulf ke kuche hain mar-e-pech us ki
tujhi ko aawe dila chalna aisi rahon ka
usi jo KHubi se lae tujhe qayamat mein
to harf-e-kun ne kiya gosh dad-KHwahon ka
tamam-umr rahen KHak zer-e-pa us ki
jo zor kuchh chale hum ijz dast-gahon ka
kahan se tah karen paida ye naziman-e-haal
ki poch-bafi hi hai kaam in julahon ka
hisab kahe ka roz-e-shumar mein mujh se
shumar hi nahin hai kuchh mere gunahon ka
teri jo aankhen hain talwar ke tale bhi idhar
fareb-KHurda hai tu 'mir' kin nigahon ka
Ghazal
Rahe KHayal tanik hum bhi ru-siyahon ka
Mir Taqi Mir