اردو हिंदी
DhunDa na paiye jo is waqt mein sau zar hai | Shaahi Shayari
DhunDa na paiye jo is waqt mein sau zar hai

Ghazal

DhunDa na paiye jo is waqt mein sau zar hai

Mir Taqi Mir

;

DhunDa na paiye jo is waqt mein sau zar hai
phir chah jis ki mutlaq hai hi nahin hunar hai

har-dam qadam ko apne rakh ehtiyat se yan
ye kar-gah sari dukkan-e-shishagar hai

Dhaya jinnon ne us ko un par KHarabi aai
jaana gaya usi se dil bhi kaso ka ghar hai

tujh bin shakeb kab tak be-faeda hun nalan
mujh nala kash ke to ai fariyaad-ras kidhar hai

said-afgano hamare dil ko jigar ko dekho
ek tir ka hadaf hai ek tegh ka sipar hai

ahl-e-zamana rahte ek taur par nahin hain
har aan martabe se apne unhen safar hai

kafi hai mahr qatil mahzar pe KHun ke mere
phir jis jagah ye jawe us ja hi mo'atabar hai

teri gali se bach kar kyun mehr-o-mah na niklen
har koi jaanta hai is rah mein KHatar hai

we din gae ki aansu rote the 'mir' ab to
aankhon mein laKHt-e-dil hai ya para-e-jigar hai