nale ka aaj dil se phir lab talak guzar hai
Tak gosh rakhiyo idhar sath us ke kuchh KHabar hai
ai hubb-e-jah walo jo aaj tajwar hai
kal us ko dekhiyo tum ne taj hai na sar hai
ab ki hawa-e-gul mein sairabi hai nihayat
ju-e-chaman pe sabza mizhgan-e-chashm-e-tar hai
ai ham-safir-e-be-gul kis ko dimagh-e-nala
muddat hui hamari minqar-e-zer par hai
sham-e-aKHir-e-shab hun san sar-guzasht meri
phir subh hote tak to qissa hi muKHtasar hai
ab rahm par usi ke mauquf hai ki yan to
nai ashk mein sarayat nai aah mein asar hai
tu hi zamam apni nake tuDa ki majnun
muddat se naqsh-e-pa ke manind rah par hai
hum mast-e-ishq waiz be-hech bhi nahin hain
ghafil jo be-KHabar hain kuchh un ko bhi KHabar hai
ab phir hamara is ka mahshar mein majra hai
dekhen to us jagah kya insaf dad-gar hai
aafat-rasida hum kya sar khinchen us chaman mein
jon naKHl-e-KHushk hum ko nai saya nai samar hai
kar 'mir' us zamin mein aur ek ghazal to mauzun
hai harf-zan qalam bhi ab taba bhi idhar hai
Ghazal
Nale ka aaj dil se phir lab talak guzar hai
Mir Taqi Mir