tang aae hain dil us ji se uTha baiThenge 
bhukon marte hain kuchh ab yar bhi kha baiThenge 
ab ke bigDegi agar un se to is shahr se ja 
kaso virane mein takiya hi bana baiThenge 
marka garm to Tak hone do KHun-rezi ka 
pahle talwar ke niche hamin ja baiThenge 
hoga aisa bhi koi rose ki majlis se kabhu 
hum to ek-adh ghaDi uTh ke juda baiThenge 
ja na izhaar-e-mohabbat pe hawasnakon ki 
waqt ke waqt ye sab munh ko chhupa baiThenge 
dekhen wo ghairat-e-KHurshid kahan jata hai 
ab sar-e-rah dam-e-subh se aa baiThenge 
bhiD Talti hi nahin aage se us zalim ke 
gardanen yar kisi rose kaTa baiThenge 
kab talak galiyon mein saudai se phirte rahiye 
dil ko us zulf-e-musalsal se laga baiThenge 
shoala-afshan agar aisi hi rahi aah to 'mir' 
ghar ko hum apne kaso raat jala baiThenge
        Ghazal
Tang aae hain dil us ji se uTha baiThenge
Mir Taqi Mir

