qarar dil ka ye kahe ko Dhang tha aage
hamare chehre ke upar bhi rang tha aage
uThaen tere liye bad-zabaniyan un ki
jinhon ki hum ko KHushamad se nang tha aage
hamari aahon se sine pe ho gaya bazar
har ek zaKHm ka kucha jo tang tha aage
raha tha shama se majlis mein dosh kitna farq
ki jal bujhe the ye hum par patang tha aage
kiya KHarab taghaful ne us ke warna 'mir'
har ek baat pe dushnam-o-sang tha aage
Ghazal
Qarar dil ka ye kahe ko Dhang tha aage
Mir Taqi Mir