taqat nahin hai ji mein nai ab jigar raha hai
phir dil sitam-rasida ek zulm kar raha hai
mara hai kis ko zalim us be-saliqagi se
daman tamam tera lohu mein bhar raha hai
pahuncha tha tegh khinche mujh tak jo bole dushman
kya marta hai us ko ye aaphi mar raha hai
aane kaha hai mere KHush-qad ne raat guzre
hangama-e-qayamat ab subh par raha hai
chal ham-nashin ki dekhen aawara 'mir' ko Tak
KHana-KHarab wo bhi aaj apne ghar raha hai
Ghazal
Taqat nahin hai ji mein nai ab jigar raha hai
Mir Taqi Mir