mahr ki tujh se tawaqqoa thi sitamgar nikla
mom samjhe the tere dil ko so patthar nikla
dagh hun rashk-e-mohabbat se ki itna betab
kis ki taskin ke liye ghar se tu bahar nikla
jite ji aah tere kuche se koi na phira
jo sitam-dida raha ja ke so mar kar nikla
dil ki aabaadi ki is had hai KHarabi ki na puchh
jaana jata hai ki us rah se lashkar nikla
ashk-e-tar qatra-e-KHun laKHt-e-jigar para-e-dil
ek se ek adad aankh se bah kar nikla
kunj-kawi jo ki sine ki gham-e-hijran ne
is dafine mein se aqsam-e-jawahar nikla
hum ne jaana tha likhega tu koi harf ai 'mir'
par tera nama to ek shauq ka daftar nikla
Ghazal
Mahr ki tujhse tawaqqoa thi sitamgar nikla
Mir Taqi Mir