qayamat hain ye chaspan jame wale
gulon ne jin ki KHatir KHirqe Dale
wo kala chor hai KHal-e-ruKH-e-yar
ki sau aankhon mein dil ho to chura le
nahin uThta dil-e-mahzun ka matam
KHuda hi is musibat se nikale
kahan tak dur baiThe baiThe kahiye
kabhu to pas hum ko bhi bula le
dila bazi na kar un gesuon se
nahin aasan khilane sanp kale
tapish ne dil jigar ki mar Dala
baghal mein dushman apne hum ne pale
na mahke bu-e-gul ai kash yak-chand
abhi zaKHm-e-jigar sare hain aale
kise qaid-e-qafas mein yaad gul ki
paDe hain ab to jine hi ke lale
sataya 'mir' gham-kash ko kinhon ne
ki phir ab arsh tak jate hain nale
Ghazal
Qayamat hain ye chaspan jame wale
Mir Taqi Mir