اردو हिंदी
Baghair dil ki ye qimat hai sare aalam ki | Shaahi Shayari
baghair dil ki ye qimat hai sare aalam ki

Ghazal

Baghair dil ki ye qimat hai sare aalam ki

Mir Taqi Mir

;

baghair dil ki ye qimat hai sare aalam ki
kaso se kaam nahin rakhti jins aadam ki

koi ho mahram shoKHi tera to mein puchhun
ki bazm-e-aish jahan kya samajh ke barham ki

hamein to bagh ki taklif se muaf rakho
ki sair-o-gasht nahin rasm ahl-e-matam ki

tanik to lutf se kuchh kah ki jaan-ba-lab hun main
rahi hai baat meri jaan ab koi dam ki

guzarne ko to kaj-o-wakaj apni guzre hai
jafa jo un ne bahut ki to kuchh wafa kam ki

ghire hain dard-o-alam mein firaq ke aise
ki subh-e-id bhi yan sham hai mahram ki

qafas mein 'mir' nahin josh dagh sine par
hawas nikali hai hum ne bhi gul ke mausam ki