kal bare hum se is se mulaqat ho gai
do do bachan ke hone mein ek baat ho gai
kin kin musibaton se hui subh sham-e-hijr
so zulfen hi banate use raat ho gai
gardish nigah-e-mast ki mauquf saqiya
masjid to shaiKH ji ki KHarabaat ho gai
Dar zulm se ki us ki jaza bas shitab hai
aaya amal mein yan ki mukafat ho gai
KHurshid sa pyala-e-mai be-talab diya
pir-e-mughan se raat karamat ho gai
kitna KHilaf wada hua hoga wo ki yan
nau-midi-o-ummid musawat ho gai
aa shaiKH guftagu-e-pareshan pe to na ja
masti mein ab to qibla-e-hajat ho gai
Tak shahr se nikal ke mera girya sair kar
goya ki koh-o-dasht pe barsat ho gai
didar ki gursangi apni yahin se dekh
ek hi nigah yaron ki auqat ho gai
apne to honT bhi na hile us ke ru-ba-ru
ranjish ki wajh 'mir' wo kya baat ho gai
Ghazal
Kal bare humse is se mulaqat ho gai
Mir Taqi Mir