rahi na-gufta mere dil mein dastan meri
na us dayar mein samjha koi zaban meri
ba-rang-e-saut-e-jaras tujh se dur hun tanha
KHabar nahin hai tujhe aah karwan meri
tere na aaj ke aane mein subh ke mujh pas
hazar jae gai tab-e-bad-guman meri
wo naqsh-e-pai hun main miT gaya ho jo rah mein
na kuchh KHabar hai na sudh haigi rah-rawan meri
shab us ke kuche mein jata hun is tawaqqoa par
ki ek dost hai wan KHwab pasban meri
usi se dur raha asal muddaa jo tha
gai ye umr-e-aziz aah raegan meri
tere firaq mein jaise KHayal muflis ka
gai hai fikr-e-pareshan kahan kahan meri
nahin hai tab-o-tawan ki judai ka andoh
ki na-tawani bahut hai mizaj-dan meri
raha main dar-e-pas-e-diwar-e-bagh muddat lek
gai gulon ke na kanon talak fughan meri
hua hun girya-e-KHunin ka jab se daman-gir
na aastin hui pak dostan meri
diya dikhai mujhe to isi ka jalwa 'mir'
paDi jahan mein ja kar nazar jahan meri
Ghazal
Rahi na-gufta mere dil mein dastan meri
Mir Taqi Mir