اردو हिंदी
Maine jo be-kasana majlis mein jaan khoi | Shaahi Shayari
maine jo be-kasana majlis mein jaan khoi

Ghazal

Maine jo be-kasana majlis mein jaan khoi

Mir Taqi Mir

;

main ne jo be-kasana majlis mein jaan khoi
sar par mere khaDi ho shab shama zor rawi

aati hai shama shab ko aage tere ye kah kar
munh ki gai jo loi to kya karega koi

be-taqati se aage kuchh puchhta bhi tha so
rone ne har ghaDi ke wo baat hi Duboi

bulbul ki bekali ne shab be-dimagh rakha
sone diya na hum ko zalim na aap soi

us zulm pesha ki ye rasm-e-qadim hai gi
ghairon pe mehrbani yaron se kina-jui

naubat jo hum se gahe aati hai guftugu ki
munh mein zaban nahin hai is bad-zaban ke goi

us mah ke jalwe se kuchh ta 'mir' yaad dewe
ab ke gharon mein hum ne sab chandni hai boi