KHarabi kuchh na puchho mulkat-e-dil ki imarat ki
ghamon ne aaj-kal suniyo wo aabaadi hi ghaarat ki
nigah-e-mast se jab chashm ne is ki ishaarat ki
halawat mai ki aur buniyaad maiKHane ki ghaarat ki
sahar-gah main ne puchha gul se haal-e-zar bulbul ka
paDe the bagh mein yak-musht par udhar ishaarat ki
jalaya jis tajalli-e-jalwa-gar ne tur ko ham-dam
usi aatish ke par kale ne hum se bhi shararat ki
nazakat kya kahun KHurshid-ru ki kal shab-e-mah mein
gaya tha sae sae bagh tak tis par hararat ki
nazar se jis ki yusuf sa gaya phir us ko kya sujhe
haqiqat kuchh na puchho pir-e-kanan ki basarat ki
tere kuche ke shauq-e-tauf mein jaise bagula tha
bayaban main ghubar 'mir' ki hum ne ziyarat ki
Ghazal
KHarabi kuchh na puchho mulkat-e-dil ki imarat ki
Mir Taqi Mir