yaksu kushada-rawi par chin nahin jabin bhi
hum chhoDi mahr us ki kash us ko howe kin bhi
aansu to tere daman ponchhe hai waqt girya
hum ne na rakhi munh par ai abr-e-astin bhi
karta nahin abas to para gulo-fughan se
guzre hai par dil ke ek nala-e-hazin bhi
hun ehtizar mein main aaina-ru shitab aa
jata hai warna ghafil phir dam to wapsin bhi
sine se tir us ka ji ko to leta nikla
par sathon sath us ke nikli ek aafrin bhi
har shab teri gali mein aalam ki jaan ja hai
aage hawa hai ab tak aisa sitam kahin bhi
shoKHi-e-jalwa us ki taskin kyunke baKHshe
aainon mein dilon ke jo hai bhi phir nahin bhi
gesu hi kuchh nahin hai sumbul ki aafat us ka
hain barq KHirman-e-gul ruKHsar-e-atishin bhi
taklif-e-nala mat kar ai dard dil ki honge
ranjida rah chalte aazurda ham-nashin bhi
kis kis ka dagh dekhen yarab gham-e-butan mein
ruKHsat talab hai jaan bhi iman aur din bhi
zer-e-falak jahan Tak aasuda 'mir' hote
aisa nazar na aaya ek qata-e-zamin bhi
Ghazal
Yaksu kushada-rawi par chin nahin jabin bhi
Mir Taqi Mir