kal 'mir' ne kya kiya ki mai ke liye betabi
aaKHir ko giro rakha sajjada-e-mehrabi
jaga hai kahin wo bhi shab murtakib-e-mai ho
ye baat sujhati hai un aankhon ki be-KHwabi
kya shahr mein gunjaish mujh be-sar-o-pa ko ho
ab baDh gae hain mere asbab-e-kam-asbabi
din-raat meri chhati jalti hai mohabbat mein
kya aur na thi jaga ye aag jo yan dabi
so malak phira lekin pai na wafa ek ja
ji kha gai hai mera is jins ki nayabi
KHun basta na kyun palken har lahza rahin meri
jate nahin aankhon se lab-e-yar ke unnabi
jangal hi hare tanha rone se nahin mere
kohon ki kamar tak bhi ja pahunchi hai sairabi
the mah-wishan kal jo un koThon pe jalwe mein
hai KHak se aaj un ki har sahn mein mahtabi
kal 'mir' jo yan aaya taur is ka bahut bhaya
wo KHushk-labi tis par jama gale mein aabi
Ghazal
Kal mir ne kya kiya ki mai ke liye betabi
Mir Taqi Mir